Roza Rakhne Ka Sahi Tarika – रोजा रखने का नियम

Roza Rakhne Ka Sahi Tarika – रोजा रखने का नियम

बिस्मिल्लाह-हिर्रहमान-निर्रही
शुरू अल्लाह के नाम से जो बड़ा मेहरबान और रहम करने वाला है

आज इस आर्टिकल में हम जान ने वाले है Roza Rakhne Ka Sahi Tarika के बारे में और जानेंगे सही तरीका जो सुन्नत से साबित है।

Roza Rakhne Ka Sahi Tarika

1. Ramzan Ke Roze Farz Kyu Hai – रमजान के रोजे क्यों फ़र्ज़ है

Momino Tum Per Roze Farz Kiye Gaye Hai Jis Tarah Tumse Pehle Logo Per Farz Kiye Gaye The Taki Tum Parhezgar Bano

(Surah Al Barqha 2:183)

Note – Roze Farz Hai Jo Har Muslmano Ko Rakhna Hai Aur Jo Pahele Ummatein Gujri Hai Un Per Bhi Roze Farz The, Roze Rakhne Se Hum Bure Kaam Se Rukte Hai

Also Read: Musalman Roza Kyu Rakhte Hain – रमजान की सच्चाई

2. Roze Ke Niyam – रोजे की नियत

Ginti Ke Chand Din Roze Rakhne Hai To Tum Me Se Koi Bimar Ho Ya Safar Me Ho To Baki Dino Me Rozo Ki Taddat Puri Karle Aur Jisme Roze Rakhne Ki Taakat Hai Per Rakhe Nahi To Vo Miskin Ko Khana Khila De Aur Jo Koi Apni Marzi Se Jayda Neki Kare To Unke Liye Jayda Achaa Hai Aur Agar Samjho To Roza Rakhna Hi Tumhare Haq Me Jayda Achaa Hai

(Surah Al Barqha 2:184)

3. Quran Kis Mahine Me Nazil Hua – कुरान किस महीने में नाजिल हुआ

Ramzan Ke Mahine Me Quran Nazil Kiya Gaya Jo Logo Ka Rahnuma Hai Or Usme Logo Ki Rahnumai Or Haq Ki Nishaniyan Hai Momino Tum Es Mahine Me Kisi Bhi Jaghe Pe Ho Roza Rakhe Khuda To Tumko Side Raste Pe Lana Chahta Hai Taki Tum Sukar Gujar Bano

(Surah Al Barqha 2:185)

Note – Quran Jo Allah Ka Qalam Hai Vo Bhi Ramzan Ke Mahine Me Nazil Hoi Jisme Logo Ke Liye Bahut Si Baatein Hai Or Tum Jaha Ho Waha Roza Rakha Karo

4. Roze Ki Halat Me Kya Nahi Karna Chahiye – रोजे की हालत में

Jo Shaks Roze Ki Halat Me Jhut Bolna Aur Dhoka Dena Aur Jahilo Jaisi Baat Karna Na Chorde To Allah Ko Uski Koi Jarurat Nahi Ke Vo Apna Khana Pina Chord De

(Sahih Bukhari 6057,1903)

Note – Jo Log Roza Rakh Ke Faltu Baatein Karte Hai Aur Jo Baat Baat Me Jhut Bolte Hai Unka Roja Nahi Hota Hai

5. Ramzan Me Jannat Ke Darwaze Khul Jate Hai Aur Jahannum Ke Darwaze Band Ho Jate Hai – रमजान में खोल दिये जाते है जन्नत के दरवाजे

Jab Ramzan Ka Mahina Aata Hai To Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hai Jahannum Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hai Or Sayatin Ko Janjiro Me Jakhad Liya Jata Hai

(Sahih Bukhari 1898-1899)

(Jamia Trimdhi 682)

Note – Ramzan Ke Mubarak Mahine Me Hum Jayda Se Jayda Amal Kare Or Is Mubarak Mahine Me Jannat Ka Rasta Banaye

6. Rozedar Ko Iftar Karne Ka Sawab – रोजेदार को इफ्तार करना

Jo Koi Kisi Rozedar Ko Iftar Kara De To Use Rozedaar Ke Barabar Sawab Milega Aur Rozedar Ke Sawab Me Se Koi Kami Nahi Hogi

(Sunun Ibn Majha 1746)

Note – Roze Rakhne Wale Ko Roza Khula De Uski Dawat Kr Ke To Uske Jitna Hi sawab Milega Jab Ki Uske Roze Ka Sawab Bhi Kam Na Hoga Allah Bada Meherbaan Hai Jisne Humare Liye Aasani Rakhi

7. Iftar Karne Me Jaldi Karo – इफ्तार करने में जल्दी करो

Allah Ke Rasul Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farman Hai Meri Ummat Ke Log Humesha Khair Ke Saath Rahenge jab tak iftaar Me Jaldi Karenge Kyuki Yahudi Jaldi Khola Karte Hai

(Sahih Bukhari 1957)

(Ibn Majha 1698)

(Sahih Bukhari 1957)

(Ibn Majha 1698)

(Sahih Bukhari 1957)

Note – Allah Ke Rasul Ne Hume Yahudiyo Ki Mukhalifat Karne Ko Kaha Gaya Hai Yahudi Iftar Me Dar Karte Hai Tum Jaldi Khola Karo

8. Kya Roze Ki Niyat Karna Zaroori Hai – रोजा रखने की नियत

Jisne Roze Ki Niyat Fajr Se Pehle Nahi Ki Uska Roza Nahi Hoa

( Abu Daud 682)

Note – Aapko Chahiye Ki Fajar Se Pehle Roza Rakhne Ki Niyat Kar Lo

9. Sawab Ki Niyat Se Roze Rakhna 

Jisne Imaan Ke Saath Sawab Ki Niyat Se Roze Rakhe To Uske Sare Guna Maaf Kar diye Jate Hai

( Sunu Ibn Majha 1641)

(Sahih Bukhari 38)

10. Shawwal Ke Roze Ki Fazilat In Hindi – शव्वाल के रोज़े की फजीलत

Jo Ramzan Ke Roze Rakhe Aur Uske Baad 6 Roze Shawwal Ke Bhi Rakhe To Usko Humesha Ke Roze Ka Sawab Milega

(Sahih Muslim 2758,1164)

(Ibn majha 1715)

(Abu Daud 2433)

(Musnad Ahmed 3660)

Note – Ramzan Ke Roze Pure Karke Vo 6 Shawwal Ke Roze Rakhe To Usko Humesha Roze Rakhne Ka Sawab Milta Hai

11. Roze Or Quran Sifarish Karenge – रोजा और कुरान सिफारिस करेंगे

Roza Or Quran Bande Ke Liye Sifarish Karenge Roza Arz Karega Ya Rabb Maine Din Ke Waqt Khana Pina Or Khuwaishat Se Isye Roka Eske Muttalib Meri Sifarish Qabul Farma Or Quran Arz Karega Maine Isey Raat Ke Waqt Sone Se Roke Rakha Iskey Muttalib Meri Sifarish Qabul Farma Un Dono Ki Sifarish Qabul Ki Jayegi

(Musnad Ahmed 8324)

Note – Qayamat Ke Din Roze Or Quran Sifarish Karenge Or Vo Sifarish Qabul Kar Li Jayegi

12. Ayyam E Beez Ke Roze Ki Fazilat – अय्यम ए बैज क्या है?

Humko Ayyam E Beez Matlab Har Mahine Ki 13,14,15 Tarikh Ke Roze Rakhne Ka Hukum Farmate Aur Ye Bhi Farmate Ki Eska Itna Sawab Hai Jitna Pure Saal Ke Roze Rakhne Ka

(Abu Daud 677)

13. Paidaish Ke Din Roza – पैदाइश के दिन रोजा

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Se Sawal Kiya Gaya Peer Ke Din Aap Roza Kyu Rakhte Ho Farmaya Me Us Din Paida Hoa Tha Us din Mujhpe Vahi Nazil Hoi

(Sahih Muslim 2750)

14. Peer Or Jumerat Ka Roza Ki Fazilat – पीर और जुमेरात के रोजे की फजीलत

Peer Or Jumerat Ko Bande Ke Aamal Allah Ki Bargah Me Pes Kiye Jate Hai Or Mujhe Ye Pasand Hai Ki Jab Mere Ammal Allah Ki Bargah Me Pes Kiye Jaye To Me Roze Se Hoon

(Jamia Trimdhi 725)

15. (Youm E Arfa Ka Roza) Arfa Ke Roze Ki Fazilat – अरफा के रोजे की फजीलत

Jisne Arfa Ke Din Roza Rakha Uske 1 Saal Agle Or 1 Saal Pichley Guna Maaf Kar Diye Jayenge

(Sunun Ibn Majha 1730,1731)

(Sahih Muslim 1162)

16. Safar Me Roza Rakhna Chahiye Ya Nahi – क्या यात्रा करते समय रोजा रखना हराम है?

Jabir Radi Allahu Anhu Byan Karte Hai Ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Safar Me The Apne Dekha Ek Shaks Per Logo Ne Saya Kar Rakha Hai Aapne Pucha Kya Baat Hai Unhone Kaha Ye Ek Rozedaar Hai Aapne Farmaya Safar Me Roza Rakhna Koi Neki Ka Kaam Nahi Hai

(Sahih Bukhari 1946)

(Sahih Muslim 2612)

Note – Malum Hoa Ki Safar Me Roza Rakhna Neki Ka Kaam Nahi Hai Aap Badme Bhi Rakh Sakte Hai

15. Napaki Ki Halat Me Sehri Kar Sakte Hai – नापाकी की हालत में रोजा रख सकते हैं

Aaysha Radi Allahu Anhu Byan Karti Hai Ramzan Me Farz Ke Waqt Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ahtlam Se Nahi Balki Apni Ajwaj Ke Saath Sohobat Karne Ki Wajhe Se Junbi Hote The Fir Aap Seheri Kar Lete Fir Ghusal Karte

(Sahih Bukhari 1926,1930,1931)

(Sahih Muslim 2590)

Note – Malum Hoa Ki Napaki Ki Halat Me Sehri Karna Jaiz Hai

16. Roza Qaza Karne Ka Hukum Hai – रोजा कजा करने का हुक्म है

Aayesha Radi Allahu Anhu Se Pucha Haj Wali Aurat Ka Kya Mamla Hai Ki Vo Rozo Ki Qaza Deti Hai Or Nawaz Ki Qaza Nahi Deti Aayesha Radi Allahu Anhu Ne Farmaya Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Zamane Me Hume Haj Aata Tha To Roze Ki Qaza Ka Hukum Diya Jata Tha Jabki Nawaz Ki Qaza Ka Hukum Nahi Diya Jata Tha

(Sahih Bukhari 763)

(Sunun Ibn Majha 1670,787)

17. Ramzan Ka Akhri Ashra Ki Fazilat – रमजान का आखिरी अशरा

Aayesha Radi Allahu Anhu Byan Karti Hai Ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ramzan Ke Aakhiri 10 Din Ashre Me Itni Mehnat Karte The Jitni Aam Dino Me Nahi Karte The

(Sahih Muslim 2788)

Note – Ramzan Ke Aakhri Asre Me Allah Ki Ibadat Jayda Kara Karo Ramzan Ke Aakhiri 10 Dino Me

18. Shab E Qadar Ka Waqia – शब ए क़द्र 2024

Hazrat Ubada Bin Samit Radi Allahu Anhu Byan Karte Hai Ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Hume Sab-e-qadar Ki Khabar Dene Ke Liye Tashreef La Rahe The Ke 2 Muslman Aaps Me Jhagda Karne Lage Is Per Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Me Aaya Tha Ki Tume Sab-e-qadar Bta Doon Lekin Fla Fla Shaks Ne Aaps Me Jhagda Kar Liya To Eska Elam Utha Liya Gya Or Umeed Hai Ki Tumhare Haq Me Yahi Batter Hoga

(Sahih Bukhari 2023)

19. Fitra Rules In Islam – फितरा कितना देना चाहिए

Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fitar Ki Sadka Ek Sa Khajur Ek Sa Jo Farz Karar Di Thi Gulam,Aazad,Mard,Aurat, Chote Or Bade Tamam Muslmano Per Or Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Ye Hukum Tha Ki Eid Ki Nawaz Se Jane Se Pehle Ye Sadka Ada Kar Diya Jaye

(Sahih Bukhari 1503)

Log Fitar Eid Ke Ek Ya 2 Din Pehle Bhi De Diya Karte The

(Sahih Bukhari 1511)

Fitar Eid Ke Baad Dena To Vo Fitar Nahi Aam Sadka Hoga

(Abu Daud 1609)

Note – Ye Fitra Ka Sadka Eid Se Pehle Dena Wajib Hai Or Eski Koi Rakam Fix Nahi Hai Aap Ke Pass Jitna Ho Utna De Or Zakat Farz Sadka Alag Chiz Hai Jo Islam Ki 5 Buniyad Me Se Ek Hai Or Agar Eid Ke Baad Diya Jaye To Aam Sadka Khelayega

20. Shab E Qadr Ki Raat 2024 – शब ए क़द्र की रात 2024

Sab E Qadar Ko Ramzan Ke Aakhri Ashra Ki Taaq Rato ( 21,23,25,27,29 ) Me Talasha Karo

(Sahih Bukhari 2017)

Note – Sab E Qadar Me Quran Nazil Hoa Tha Or In Raato Me Ek Raat Aisi Aati Hai Jinme Hoa Tha Esliye Hume 5 Raato Me Jaghne Ka Hukum Diya Gaya

21. Lailatul Qadr In Hindi – लैलतुल कद्र

Jo Log Iman Ke Saath Apna Jayja Lete Hoye Lailatul Qadr Me Ibadat Kare Uske Tamam Pichley Gunna Maaf Kar Diye Jate Hai

(Sahih Bukhari 35,1901,2009)

Note – Lailatul Qadr Or Sab E Qadar Me Koi Farak Nahi Hai Dono Ek Hi Raat Hai Jisme Quran Nazil Hoa Hai Or Is Raat Jis Kisi Ne Ibadat Kari To Uske Sare Gunna Maaf Ho Jate Hai

22. Roze Nafsiyani Khwahish Ko Tod Deta Hai – रोज़े नफसानी ख्वाहिश को तोड़ देता है

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Roza Uski Nafsiyani Khawhist Ko Tod Deta Hai

(Sahih Bukhari 5066)

Note – Roze Hume Aise Chizo Se Rokta Hai Jiski Hume Khwahish Ho Or Vo Chiz Sahi Na Ho

23. Roze Ki Halat Me Bhul Chuk Me Kha Lena – रोजे की हालत में भूल चूक में खा लेना

Jab Koi Bhul Gaya Or Kha Liya Or Pi Liya To Use Chahiye Ki Apna Roza Pura Karey Kyuki Use Allah Talha Ne Khilaya Or Pilaya

(Sahih Bukhari 1933)

26. Roze Ka Sawab Allah Qayamat Ke Din Dega – रोज़े का सवाब अल्लाह कयामत के दिन देगा

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Allah Farmata Hai Ki Roza Mere Liye Hai Or Me Hi Uska Badla Dunga

(Sahih Bhukari 5927)

(Musnad Ahmed 14699)

Note – Jo Log Roza Rakhte Hai Unke Liye Yahi Kaafi Hai Ki Allah Ne Unke Roze Ke Sawab Ki Jimedaari Li Hai Jo Sare Jahan Ka Rab Hai

27. Roza Kya Hai – रोज़ा क्या है

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Roza Guna Or Jahannum Ki Aag Se Bachne Wali Ek Dhal Hai

(Sahih Bukhari 1904)

(Musnad Ahmed 14699)

Note – Roza Hume Guna Karne Se Rokta Hai Or Hum Guna Se Rukte Hai

28. Sheri Achee Se Khana Chahiye – सहेरी अच्छे से खाना चाहिए

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Sehri Khao Kyuki Sehri Me Barkat Hoti Hai

(Sahih Bukhari 1923)

Note – Jab Hum Roze Rakhte Hai To Sehri Me Achaa Se Achaa Khaya Karo Kyuki Sehri Me Barkat Hoti Hai Or Khas Ramzan Ka Mahine Humare Liye Barkat Wala Hai

29. Shaban Ke Mahine Ki Fazilat – शाबान के महीने में हमे क्या करना चाहिए?

Hazrat Aaysha Radi Allahu Anhu Byan Karti Hai Maine Ramzan Ko Chord Kar Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Pure Mahine Ke Nafil Roze Rakhte Nahi Dekha Or Jitne Rozey Aap Shaban Me Rakhte Utne Kisi Mahine Me Usse Jayda Roze Rakhte Nahi Dekha Or Aap Farmate The Ki Ye Vo Mahina Hai Jisme Aamal Allah Ki Taraf Pes Kiye Jate Hai To Me Chahta Hoon Ki Jab Mere Aamal Pes Kiye Jaye To Me Roze Se Hoon Esliye Aap Pure Mahine Roza Rakhte The Per Ummat Ko 15 Tarik Tak Hi Rakhne Ka Hukum Diya

(Sahih Bukhari 1969)

(Sahih Muslim 2726)

(Sunun Nisai 2356,2352)

(Sunun Ibn Majha 1651)

Note – Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Sabse Jayda Roze Ramzan Ke Baad Shaban Me Rakha Karte Hai Kyuki Shaban Ke Mahine Me Allah Ke Samne Aamal Pes Kiye Jate The To Aap Ka Kehna Tha Ki Jab Mere Aamal Pes Kiye Jaye To Me Roze Se Hoon Magar Aapne Ummat Ko 15 Tarik Tak Hi Roza Rakhne Ka Hukum Diya Kyuki Fir Ramzan Ka Mahina AA Jata Hai Esliye Bhi Kaha Kyuki Deen Me Koi Sakti Karna Sahi Nahi

30. Ashura Ka Roza Kab Rakhna Hai – आशूरा का रोजा कब रखना चाहिए

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ausra 10 Mohoram Ke Din Ka Roza Gujre Hoye Saalo Ka Kuffara Hai

(Sahih Muslim 2747)

(Jamia Trimdhi 752)

(Sahih Muslim 2755)

Note – Mohoram Ki 10 Tarik Ko Ye Roza Aata Hai To Hume Chahiye Ki Hum Rakh Liya Kare Ye Humare Gujre Hoye Gunna Ka Kuffara Hai Or Ye Ramzan Ke Baad Sabse Afzal Roze Hai

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Se Jab Pucha Gaya Ki 10 Tarik Ko To Yahudi Or Nasrana Roza Rakhte Hai To Aapne Farmaya Inshaallah Agle Saal Hum 9 Ka Roza Rakhnge Or Fir Agle Saal Aa na paya Aap Is Duniya Se Rukshat Kar Gaye Esliye Hum 9,10 Ka Roza Rakhte Hai

(Sahih Muslim 2666)

Note – Yahudi Or Nasrana 9 Ka Roza Esliye Rakhte The Kyuki Musa Alaihi Sallam Ne Ummat Ko Firon Se Aazad Karaya Tha Esliye Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki Hume Yahudi Or Nasrana Ki Mukhalifat Karni Hai Esliye Tum 9,10 Ka Roza Rakha Karo Ulama Ka Kehna Hai Ki 10,11 Ka Bhi Rak Sakte Hai

31. Allah Ki Rah Me Roza Rakhna – अल्लाह की राह में रोजा रखना

Jo Ek Din Roza Rakhe Allah Ki Rah Me To Allah Uske Muh Ko 70 Baras Ki Rah Tak Dhojak Se Dur Kar Deta Hai

(Sahih Muslim 2713,1153)

Note – Allah Hume Itne Sawab Dene Ka Maksad Hota Hai Ki Banda Hidayat Pe Aa Jaye Taki Vo Momin Ho Jaye Or Setan Se Dhur Rahe

32. 2 Din Ke Roze Aise Hai Jinse Manna Farmaya Gaya Hai – 2 दिन के रोज़ ऐसे हैं जिनसे मनना फरमाया गया है

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne 2 Rozo Se Mana Farmaya Eid ul fitar or Eid ul adha

(Sahih Muslim 2676)

Note – Deen Me Sakti Na Hai Ki Aap Eid Ke Din Bhi Roza Rakhe Eid Ke Din To Khane Pine Ke Din Hote Hai Or Qurabani Bhi Ki Jati Hai Jo Ki Ibrahim Alaihi Sallam Ki Sunnat Hai Allah Ne Hume Bahut Se Nehmato Di Hai

33. Roza Iftar Me Kya Khana Chahiye – रोजा इफ्तार में क्या खाना चाहिए

Jab Tum Me Se Roza Iftaar Karne Lage To Khajur Se Kare Khajur Na Ho To Pani Se Kare Kyuki Pani Paak Karne Wala Hai

(Ibn Majha 1699)

34. Sab E Qadar Ki Dua In Hindi – सब ए क़दर की दुआ हिंदी में

Sab E Qadar ki dua

(Ibn majha 731)

35. Iftaar Ke Waqt Rozedaar Ki Dua Rad Nahi Hoti – इफ्तार के वक्त रोज़दार की दुआ रद नहीं होती

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Iftaar ke waqt Rozedaar ki dua rad nahi hoti

(Ibn majha 1753)

Note – Momino Iftar Ke Waqt Dua Kiya Karo Kyuki Allah Hi Dua Qubul Karne Wala Hai

36. Quran Sab E Qadr Me Nazil Hoa – क़ुरआन सब ए क़द्र में नाज़िल होआ

Humne Is Quran Ko Mubarak Raat Sab E Qadr Me Nazil Kiya

(Surah Dukhan 44:3)

Note – Quran Sab E Qadr (Lailatul Qadr) Me Nazil Hoa Hai Jo Ki Ramzan Ke Aakhiri Asre Ke 10 Din Ke Ander Hai

37. Ramzan Me Dhojak Se Log Azad Hote Hai Or Dua Qubul Bhi Ki Jati Hai – रमज़ान में धोजक से लोग आज़ाद होते हैं या दुआ क़ुबुल भी जाती है

Ramzan Me Allah Har Din Or Raat Dhojak Se Logo Ko Azad Karta Hai Or Har Muslman Ki Din Or Raat Me Dua Qabul Ki Jati Hai

(Musnad Ahmed 7450)

38. Dikhave Ka Roza Sirk Hai Or Dikhave Ki Nawaz Bhi Sirk Hai – क्या दिखावे का रोज़ा सिरक है और दिखावे की नवाज़ सिर्क है

Jo Shakhs Dikhave Ke Liye Roza Rakhta Hai To Usne Sirk Kiya Or Jo Dikhave Ke Liye Nawaz Padta Hai To Usne Sirk Kiya

(Miskhat 5331)

Note – Logo Ko Ye Samjhna Chahiye Ki Allah Unki Niyat Dekhta Hai Ki Kya Niyat Se Tu Nawaz Roze Rakhta Hai

Conclusion

आज हमने इस आर्टिकल में जाना Roza Rakhne Ka Sahi Tarika क्या है जो नबी सलाललाहु अलैहि वसल्लम की सुन्नत है।

अल्लाह हमे नेक अमल करने की तोफिक आता फरमाए आमीन।

3 thoughts on “Roza Rakhne Ka Sahi Tarika – रोजा रखने का नियम”

Leave a Comment